guzarna sar se baam-e-’ishq ka chaDhna utarna hai
guzarnā sar se bām-e-’ishq kā chaḌhnā utarnā hai
jo marnā hai vo jiinā hai jo suulī hai vo ziinā hai
batā.ūñ aap ko nisbat ki mujh meñ yaar meñ kyā hai
maiñ ā.īna vo sūrat hai maiñ gum huuñ aur vo paidā hai
nazar aayā 'ajab mujh ko tamāsha chashm-e-haq-bīñ se
zamāna DhūñDhtā hai haq ko aur haq hī zamāna hai
vahī iz.hār-e-mā'nī hai jo gam honā hai sūrat kā
jo miTnā hai vo jiinā hai jo jiinā hai vo marnā hai
nikal parda-e-sūrat se jalva dekh mā'nī kā
jo mā'nī hai vo sūrat hai jo sūrat hai vo parda hai
'vatan' itnī samajh bhī gar kisī ko ho to kaafī hai
kidhar se maiñ kidhar aayā kidhar ab mujh ko jaanā hai
guzarna sar se baam-e-’ishq ka chaDhna utarna hai
jo marna hai wo jina hai jo suli hai wo zina hai
bataun aap ko nisbat ki mujh mein yar mein kya hai
main aaina wo surat hai main gum hun aur wo paida hai
nazar aaya 'ajab mujh ko tamasha chashm-e-haq-bin se
zamana DhunDhta hai haq ko aur haq hi zamana hai
wahi izhaar-e-ma'ni hai jo gam hona hai surat ka
jo miTna hai wo jina hai jo jina hai wo marna hai
nikal parda-e-surat se jalwa dekh ma'ni ka
jo ma'ni hai wo surat hai jo surat hai wo parda hai
'watan' itni samajh bhi gar kisi ko ho to kafi hai
kidhar se main kidhar aaya kidhar ab mujh ko jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.