hum KHudi hi mein KHuda ko ham-nafas pane lage
ham ḳhudī hī meñ ḳhudā ko ham-nafas paane lage
arz par rah kar samā tak haath dauḌāne lage
tum hinā-ālūd jab añgusht chamkāne lage
log sham'-e-tūr ko añgulī se batlāne lage
tum jo tāb-e-'āriz-e-raḳhshāñ ko chamkāne lage
log sham'-e-tūr ko añgulī se batlāne lage
vahm ne paTkā adhūrā ham ko hast-o-nīst meñ
phir kamar kī Toh meñ gumrāh kahlāne lage
dekh us abrū-kamāñ ke tīr-e-mizhgāñ ko jo les
'āshiq-e-gosha-nashīñ qurbān ho jaane lage
vāsil-e-jānāñ huā maiñ jaan se jā kar 'vatan'
dekh bāhar aap se mujh ko vo ghabrāne lage
hum KHudi hi mein KHuda ko ham-nafas pane lage
arz par rah kar sama tak hath dauDane lage
tum hina-alud jab angusht chamkane lage
log sham'-e-tur ko anguli se batlane lage
tum jo tab-e-'ariz-e-raKHshan ko chamkane lage
log sham'-e-tur ko anguli se batlane lage
wahm ne paTka adhura hum ko hast-o-nist mein
phir kamar ki Toh mein gumrah kahlane lage
dekh us abru-kaman ke tir-e-mizhgan ko jo les
'ashiq-e-gosha-nashin qurban ho jaane lage
wasil-e-jaanan hua main jaan se ja kar 'watan'
dekh bahar aap se mujh ko wo ghabrane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.