zindagi sang-e-dar-e-yar se aage na baDhi
zindagī sañg-e-dar-e-yār se aage na baḌhī
'āshiqī matla'-e-dīdār se aage na baḌhī
tīrgī gesū-e-ḳhamdār se aage na baḌhī
raushnī tābish-e-ruḳhsār se aage na baḌhī
dilbarī raunaq-e-bāzār se aage na baḌhī
sādgī hasrat-e-iz.hār se aage na baḌhī
ḳhud farāmosh tire 'arsh ko chhū kar aa.e
ḳhvājgī jubba-o-dastār se aage na baḌhī
bas meñ hotā to tirī bazm sajāte ham bhī
bebasī sāya-e-dīvār se aage na baḌhī
jalva-e-zāt se aage thī faqat zaat hī zaat
bandagī raqs sar-e-dār se aage na baḌhī
be-ḳhudī dasht-o-bayābāñ se varā hai 'vāsif'
āgahī vādī-e-pur-ḳhār se aage na baḌhī
zindagi sang-e-dar-e-yar se aage na baDhi
'ashiqi matla'-e-didar se aage na baDhi
tirgi gesu-e-KHamdar se aage na baDhi
raushni tabish-e-ruKHsar se aage na baDhi
dilbari raunaq-e-bazar se aage na baDhi
sadgi hasrat-e-izhaar se aage na baDhi
KHud faramosh tere 'arsh ko chhu kar aae
KHwajgi jubba-o-dastar se aage na baDhi
bas mein hota to teri bazm sajate hum bhi
bebasi saya-e-diwar se aage na baDhi
jalwa-e-zat se aage thi faqat zat hi zat
bandagi raqs sar-e-dar se aage na baDhi
be-KHudi dasht-o-bayaban se wara hai 'wasif'
aagahi wadi-e-pur-KHar se aage na baDhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.