tere qarib hue jab se ashk-bar hue
tire qarīb hue jab se ashk-bār hue
hazār baar kahāñ sad hazār baar hue
tumhārī bazm meñ taare bhī pur-sukūñ the magar
ye aur baat ki ham duur be-qarār hue
baqā fanā kī fanā hī baqā kī raah banī
ḳhizāñ se guzre to ham bād-e-nau bahār hue
milā na ham ko agar sañg-e-āstāñ kā nishāñ
ba-rañg-e-mauj uThe raah kā ġhubār hue
huā thā husn hī ḳhud mā.il-e-karam 'vāsif'
vo apnī zaat meñ maḳhfī the āshakār hue
tere qarib hue jab se ashk-bar hue
hazar bar kahan sad hazar bar hue
tumhaari bazm mein tare bhi pur-sukun the magar
ye aur baat ki hum dur be-qarar hue
baqa fana ki fana hi baqa ki rah bani
KHizan se guzre to hum baad-e-nau bahaar hue
mila na hum ko agar sang-e-astan ka nishan
ba-rang-e-mauj uThe rah ka ghubar hue
hua tha husn hi KHud mail-e-karam 'wasif'
wo apni zat mein maKHfi the aashakar hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.