Thahri meri haqiqat jab asl-e-nur tera
Thahrī mirī haqīqat jab asl-e-nūr terā
phir ye zuhūr merā hogā zuhūr terā
merā kahāñ nishāñ thā terī jahāñ thī hastī
ban aayā merī sūrat ḳhud yaar nuur terā
kyuuñ paak ham na hoveñ ālūdgī-e-jāñ se
saaqī se pī liyā hai jām-e-tuhūr terā
muusā hī kī badaulat tujh ko huī tajallī
hargiz ye muñh nahīñ thā ai sañg-e-tūr terā
nabiyoñ ne ḳhud batāyā valiyoñ ne kah sunāyā
samjhe na munkir ab tak sirr-e-zuhūr terā
be-būd saarā 'ālam bā-būd ek tū hai
zāhir huā 'asad' par rāz-e-zuhūr terā
Thahri meri haqiqat jab asl-e-nur tera
phir ye zuhur mera hoga zuhur tera
mera kahan nishan tha teri jahan thi hasti
ban aaya meri surat KHud yar nur tera
kyun pak hum na howen aaludgi-e-jaan se
saqi se pi liya hai jam-e-tuhur tera
musa hi ki badaulat tujh ko hui tajalli
hargiz ye munh nahin tha ai sang-e-tur tera
nabiyon ne KHud bataya waliyon ne kah sunaya
samjhe na munkir ab tak sirr-e-zuhur tera
be-bud sara 'alam ba-bud ek tu hai
zahir hua 'asad' par raaz-e-zuhur tera
- Book : Rooh-e-Sama, Part 2 (Pg. 11)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.