kahun kya main furqat-e-yar mein mujhe khana-pina haram hai

kahun kya main furqat-e-yar mein mujhe khana-pina haram hai
Tahir Moradabadi
MORE BYTahir Moradabadi
kahūñ kyā maiñ furqat-e-yār meñ mujhe khānā-pīnā harām hai
usī ġham meñ jaañ pe aa banī koī dam meñ kaam tamām hai
mujhe bazm ġhair meñ dekh kar lagā kahne yuuñ but-e-'ishva-gar
yahāñ us ko kis ne bulā liyā ye to mere ghar kā ġhulām hai
ġham-e-hijr-e-yār meñ is qadar na taḌap tū ai dil-e-nauha-gar
abhī zabt kar abhī zabt kar yahī rok hai yahī thaam hai
kise tāb-e-sabr hai sāqiyā mujhe bhar ke chullū meñ de pilā
yahī ḳhum samajh yahī hai subū yahī shīsha hai yahī jaam hai
mere mah-jabīñ mere mah-laqā tujhe dil se kaise karūñ judā
koī ho hasīñ to huā kare mujhe terī diid se kaam hai
karo dil kā kahnā magan-magan raho paas ġhairoñ ke jān-e-man
mere hāl-e-zār se hai kyā ġharaz tumheñ apne kaam se kaam
rukH-e-jāñ-fizā pe jo ḳhaal hai bichhā us pe zulf kā ye haal hai
tujhe donoñ hāthoñ se bandagī tirī dostī ko salām hai
pas-e-marg ‘tāhir’-e-kHush-bayāñ terī yaad hogī jahāñ-tahāñ
tujhe shā.irī kī sanad milī tirā ’ishq-bāzoñ meñ naam hai
kahun kya main furqat-e-yar mein mujhe khana-pina haram hai
usi gham mein jaan pe aa bani koi dam mein kaam tamam hai
mujhe bazm ghair mein dekh kar laga kahne yun but-e-'ishwa-gar
yahan us ko kis ne bula liya ye to mere ghar ka ghulam hai
gham-e-hijr-e-yar mein is qadar na taDap tu ai dil-e-nauha-gar
abhi zabt kar abhi zabt kar yahi rok hai yahi tham hai
kise tab-e-sabr hai saqiya mujhe bhar ke chullu mein de pila
yahi KHum samajh yahi hai subu yahi shisha hai yahi jam hai
mere mah-jabin mere mah-laqa tujhe dil se kaise karun juda
koi ho hasin to hua kare mujhe teri did se kaam hai
karo dil ka kahna magan-magan raho pas ghairon ke jaan-e-man
mere haal-e-zar se hai kya gharaz tumhein apne kaam se kaam
rukH-e-jaan-fiza pe jo KHal hai bichha us pe zulf ka ye haal hai
tujhe donon hathon se bandagi teri dosti ko salam hai
pas-e-marg ‘tahir’-e-kHush-bayan teri yaad hogi jahan-tahan
tujhe shairi ki sanad mili tera ’ishq-bazon mein nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.