mohabbat sahl bhī dushvār bhī hai
ye sho'la nuur bhī hai naar bhī hai
junūñ mahv-e-ḳhayāl-e-yār bhī hai
ye dīvāna zarā hushiyār bhī hai
maiñ aisī yaad ko kyuuñ kar bhulā duuñ
ki ġham hī ġham nahīñ ġham-kHvāre bhī hai
musalsal hijr se ghabrā na ai dil
usī manzil meñ kū-e-yār bhī hai
mujhe kyuuñ dekhtā hai saarā 'ālam
to kyā mujh meñ jamāl-e-yār bhī hai
kahāñ tak nāla-o-fariyād ‘shīrī’
are tujh ko ḳhayāl-e-yār bhī hai
mohabbat sahl bhi dushwar bhi hai
ye sho'la nur bhi hai nar bhi hai
junun mahw-e-KHayal-e-yar bhi hai
ye diwana zara hushiyar bhi hai
main aisi yaad ko kyun kar bhula dun
ki gham hi gham nahin gham-kHware bhi hai
musalsal hijr se ghabra na ai dil
usi manzil mein ku-e-yar bhi hai
mujhe kyun dekhta hai sara 'alam
to kya mujh mein jamal-e-yar bhi hai
kahan tak nala-o-fariyaad ‘shiri’
are tujh ko KHayal-e-yar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.