mauj-e-sahil se milo mah-e-kaamil se milo
mauj-e-sāhil se milo
yā mah-e-kāmil se milo
sab se mil aao to ik baar mire dil se milo
dil-e-barbād ne kyā TuuT ke chāhā hai tumheñ
kis qadar pyaar se marmar se tarāshā hai tumheñ
jab se dekhā hai usī shoḳhī se dekhā hai tumheñ
sar jhukāyā hai ḳhudā maanā hai puujā hai tumheñ
rañg-o-’ishrat se milo
’aish-o-rāhat se milo
nūr-o-nik.hat se milo
sab se fursat se milo
sab se mil aao to ik baar mire dil se milo
tum mire hoñToñ pe rahtī ho du'āon kī tarah
kitnī mā'sūm ho tum merī vafāoñ kī tarah
duur hī duur ho jañgal kī havāoñ kī tarah
tum chalī aao jo bharpūr ghaTāoñ kī tarah
sabza-zāroñ se milo
nau bahāroñ se milo
shoḳh dhāroñ se milo
tum hazāroñ se milo
sab se mil aao to ik baar mire dil se milo
kyā kahūñ dahr meñ mujh sā nahīñ tanhā koī
tum pe zāhir hai ki tum se nahīñ parda koī
tum na aao to nahīñ merā sahārā koī
aao ik baar karo shaaz se vā'da koī
shab-e-rā’anā se milo
sub.h-e-fardā se milo
kaif-e-sahbā se milo
ek duniyā se milo
sab se mil aao
to ik baar mire dil se milo
mauj-e-sahil se milo
ya mah-e-kaamil se milo
sab se mil aao to ek bar mere dil se milo
dil-e-barbaad ne kya TuT ke chaha hai tumhein
kis qadar pyar se marmar se tarasha hai tumhein
jab se dekha hai usi shoKHi se dekha hai tumhein
sar jhukaya hai KHuda mana hai puja hai tumhein
rang-o-’ishrat se milo
’aish-o-rahat se milo
nur-o-nikhat se milo
sab se fursat se milo
sab se mil aao to ek bar mere dil se milo
tum mere honTon pe rahti ho du'aon ki tarah
kitni ma'sum ho tum meri wafaon ki tarah
dur hi dur ho jangal ki hawaon ki tarah
tum chali aao jo bharpur ghaTaon ki tarah
sabza-zaron se milo
nau bahaaron se milo
shoKH dhaaron se milo
tum hazaron se milo
sab se mil aao to ek bar mere dil se milo
kya kahun dahr mein mujh sa nahin tanha koi
tum pe zahir hai ki tum se nahin parda koi
tum na aao to nahin mera sahaara koi
aao ek bar karo shaz se wa'da koi
shab-e-ra’ana se milo
subh-e-farda se milo
kaif-e-sahba se milo
ek duniya se milo
sab se mil aao
to ek bar mere dil se milo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.