kisi ka koi munis hai kisi ka koi chaara hai
kisī kā koī mūnis hai kisī kā koī chāra hai
hameñ to aap kī nazar-e-'ināyat kā sahārā hai
faqīr-e-be-navā kī aap hī ko laaj hai shāhā
bhikārī huuñ tumhārā bas yahī merā guzārā hai
sivā.e aap ke koī nahīñ merā zamāne meñ
banī jab koī mushkil aap ko maiñ ne pukārā hai
tumhāre dar kī nisbat se mujhe sab jaan jaate haiñ
sag-e-dar bhī tumhārā aur paTTā bhī tumhārā hai
mire jaise haiñ lākhoñ aap kī bazm-e-'ināyat meñ
kaho to aap jaisā kaun duniyā meñ hamārā hai
use iksīr samjhūñ yā sitāra-e-jabīñ samjhūñ
tirī ḳhāk-e-qadam ne merī bigḌī ko sañvārā hai
kisi ka koi munis hai kisi ka koi chaara hai
hamein to aap ki nazar-e-'inayat ka sahaara hai
faqir-e-be-nawa ki aap hi ko laj hai shaha
bhikari hun tumhaara bas yahi mera guzara hai
siwae aap ke koi nahin mera zamane mein
bani jab koi mushkil aap ko main ne pukara hai
tumhaare dar ki nisbat se mujhe sab jaan jate hain
sag-e-dar bhi tumhaara aur paTTa bhi tumhaara hai
mere jaise hain lakhon aap ki bazm-e-'inayat mein
kaho to aap jaisa kaun duniya mein hamara hai
use iksir samjhun ya sitara-e-jabin samjhun
teri KHak-e-qadam ne meri bigDi ko sanwara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.