sambhal kar dekhna barq-e-tajalla dekhne wale
sambhal kar dekhnā barq-e-tajallā dekhne vaale
tamāsha ḳhud na ban jaanā tamāsha dekhne vaale
dil-e-nādāñ zarā ḳhuddār ban himmat na haar apnī
ki gir paḌte haiñ ġhairoñ kā sahārā dekhne vaale
nikal parde se ḳhud apnā tamāsha dekhne vaale
hazāroñ muntazir haiñ terā jalva dekhne vaale
kahīñ ibtidā-e-'ishq meñ majnūñ na ban jaanā
are chhup-chhup ke o tasvīr-e-lailā dekhne vaale
jo us ko dekhnā chāhe na dekhe apnī hastī ko
hue maḳhlūq kī nazroñ meñ rusvā dekhne vaale
kalīmullāh agar haiñ tūr-e-sīnā dekhne vaale
hameñ dekho ki ham haiñ us kā jalva dekhne vaale
guzārī 'umr saarī us ke jalve kī tamannā meñ
ḳhud apne aap ko tum ne na dekhā dekhne vaale
sarāpā ā.īna ban kar jo vo hairat meñ baiThe haiñ
bane haiñ aap hī apnā tamāsha dekhne vaale
mire barbād hone kā nazāra dekhne vaale
ye terī mehrbānī hai tamāsha dekhne vaale
koī hamdard sachchā is zamāne meñ nahīñ 'ahmad'
nazar aate haiñ sab mujh ko tamāsha dekhne vaale
muqaddar un kā achchhā vahī maqbūl bande haiñ
vahī jannat meñ jā.eñge madīna dekhne vaale
sambhal kar dekhna barq-e-tajalla dekhne wale
tamasha KHud na ban jaana tamasha dekhne wale
dil-e-nadan zara KHuddar ban himmat na haar apni
ki gir paDte hain ghairon ka sahaara dekhne wale
nikal parde se KHud apna tamasha dekhne wale
hazaron muntazir hain tera jalwa dekhne wale
kahin ibtida-e-'ishq mein majnun na ban jaana
are chhup-chhup ke o taswir-e-laila dekhne wale
jo us ko dekhna chahe na dekhe apni hasti ko
hue maKHluq ki nazron mein ruswa dekhne wale
kalimullah agar hain tur-e-sina dekhne wale
hamein dekho ki hum hain us ka jalwa dekhne wale
guzari 'umr sari us ke jalwe ki tamanna mein
KHud apne aap ko tum ne na dekha dekhne wale
sarapa aaina ban kar jo wo hairat mein baiThe hain
bane hain aap hi apna tamasha dekhne wale
mere barbaad hone ka nazara dekhne wale
ye teri mehrbani hai tamasha dekhne wale
koi hamdard sachcha is zamane mein nahin 'ahmad'
nazar aate hain sab mujh ko tamasha dekhne wale
muqaddar un ka achchha wahi maqbul bande hain
wahi jannat mein jaenge madina dekhne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.