tera aastan jo na mil saka teri rah-e-guzar pe jabin sahi

tera aastan jo na mil saka teri rah-e-guzar pe jabin sahi
Isa Amritsari
MORE BYIsa Amritsari
tirā āstāñ jo na mil sakā terī rāh-e-guzar pe jabīñ sahī
hameñ sajda karne se kaam hai jo vahāñ nahīñ to yahīñ sahī
mere zauq-e-sajda ko zid nahīñ merā sajda ho vo kahīñ sahī
tirā āstāñ to āstāñ tere naqsh-e-pā pe jabīñ sahī
mujhe koī shai nahīñ chāhiye ba-juz ek terī nigāh ke
ye zamāne bhar kī masarrateñ merī zindagī meñ nahīñ sahī
vo mirī nazar se chhupegā kyā jo tasavvurāt kī zad meñ ho
use jab bhī chāhūñ maiñ dekh luuñ maiñ kahīñ sahī vo kahīñ sahī
dil-e-zaḳhm-ḳhurda kī har taḌap hai qarār jān-e-shikastagāñ
ye maze kī baat hai chāra-gar jo davā nahīñ to nahīñ sahī
nahīñ bahas-e-dair-o-haram se kuchh na maiñ shaiḳh huuñ na maiñ barahman
mirā kaam mashq-e-sujūd hai kisī tarh ho vo kahīñ sahī
tirā banda-e-’īsā be-navā nahīñ bādshāhoñ se kuchh bhī kam
jo nahīñ ye taḳht-nashīñ na ho tere dar kā ḳhāk-nashīñ sahī
tera aastan jo na mil saka teri rah-e-guzar pe jabin sahi
hamein sajda karne se kaam hai jo wahan nahin to yahin sahi
mere zauq-e-sajda ko zid nahin mera sajda ho wo kahin sahi
tera aastan to aastan tere naqsh-e-pa pe jabin sahi
mujhe koi shai nahin chahiye ba-juz ek teri nigah ke
ye zamane bhar ki masarraten meri zindagi mein nahin sahi
wo meri nazar se chhupega kya jo tasawwuraat ki zad mein ho
use jab bhi chahun main dekh lun main kahin sahi wo kahin sahi
dil-e-zaKHm-KHurda ki har taDap hai qarar jaan-e-shikastagan
ye maze ki baat hai chaara-gar jo dawa nahin to nahin sahi
nahin bahas-e-dair-o-haram se kuchh na main shaiKH hun na main barahman
mera kaam mashq-e-sujud hai kisi tarh ho wo kahin sahi
tera banda-e-’isa be-nawa nahin baadshahon se kuchh bhi kam
jo nahin ye taKHt-nashin na ho tere dar ka KHak-nashin sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.