mera chahna dekh kya chahta hun
mirā chāhnā dekh kyā chāhtā huuñ
faqat tujh ko jān-e-vafā chāhtā huuñ
mire ho hamesha rahoge mire hī
kaho muñh se tere sunā chāhtā huuñ
vafā kā huuñ tālib vafā kī hai 'ādat
vafā kar rahā huuñ vafā chāhtā huuñ
mohabbat ho donoñ taraf ek jaisī
ye kyā kah rahā huuñ ye kyā chāhtā huuñ
rahe ab na baaqī zarā ajnabiyyat
maiñ terā sarāpā banā chāhtā huuñ
tire pyaar kī pyārī duniyā meñ kho kar
tire pyaar kā aasrā chāhtā huuñ
mohabbat meñ donoñ ko ho be-qarārī
maiñ is ke sivā aur kyā chāhtā huuñ
tirī mast āñkhoñ se āñkheñ milā kar
maiñ yuuñ mast-o-be-ḳhud banā chāhtā huuñ
amīn-e-mohabbat raheñ donoñ 'mushtāq'
yahī tujh se ġhaus-ul-varā chāhtā huuñ
mera chahna dekh kya chahta hun
faqat tujh ko jaan-e-wafa chahta hun
mere ho hamesha rahoge mere hi
kaho munh se tere suna chahta hun
wafa ka hun talib wafa ki hai 'adat
wafa kar raha hun wafa chahta hun
mohabbat ho donon taraf ek jaisi
ye kya kah raha hun ye kya chahta hun
rahe ab na baqi zara ajnabiyyat
main tera sarapa bana chahta hun
tere pyar ki pyari duniya mein kho kar
tere pyar ka aasra chahta hun
mohabbat mein donon ko ho be-qarari
main is ke siwa aur kya chahta hun
teri mast aankhon se aankhen mila kar
main yun mast-o-be-KHud bana chahta hun
amin-e-mohabbat rahen donon 'mushtaq'
yahi tujh se ghaus-ul-wara chahta hun
- Book : Asrar-ul-Mushtaque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.