aarzu-e-wasl-e-jaanan mein sahar hone lagi

aarzu-e-wasl-e-jaanan mein sahar hone lagi
Ghulam Moinuddin Gilani
MORE BYGhulam Moinuddin Gilani
ārzū-e-vasl-e-jānāñ meñ sahar hone lagī
zindagī mānind-e-sham.a muḳhtasar hone lagī
rāz-e-ulfat khul na jaa.e baat rah jaa.e mirī
bazm-e-jānāñ meñ ilāhī chashm-e-tar hone lagī
ab shakeb-e-dil kahāñ hasrat hī hasrat rah ga.ī
zindagī ik ḳhvāb kī sūrat basar hone lagī
ye tilism-e-husn hai yā ki ma.āl-e-'ishq hai
apnī nākāmī hī apnī rāhbar hone lagī
sun rahā huuñ aa rahe haiñ vo sar-e-bālīn aaj
merī āh-e-nā-rasā bhī bā-asar hone lagī
un se vābasta ummīdeñ jo bhī thiiñ vo miT ga.iiñ
ab tabī'at aap apnī chāra-gar hone lagī
vo tabassum thā ki barq-e-husn kā e'jāz thā
kā.enāt-e-jān-o-dil zer-o-zabar hone lagī
dil kī dhaḌkan baḌh ga.ī āñkhoñ meñ aañsū aa ga.e
ġhāliban merī taraf un kī nazar hone gī
jab chalā 'mushtāq' apnā kārvāñ sū-e-'adam
yaas ham-āġhosh ho kar ham-safar hone lagī
aarzu-e-wasl-e-jaanan mein sahar hone lagi
zindagi manind-e-shama muKHtasar hone lagi
raaz-e-ulfat khul na jae baat rah jae meri
bazm-e-jaanan mein ilahi chashm-e-tar hone lagi
ab shakeb-e-dil kahan hasrat hi hasrat rah gai
zindagi ek KHwab ki surat basar hone lagi
ye tilism-e-husn hai ya ki maal-e-'ishq hai
apni nakaami hi apni rahbar hone lagi
sun raha hun aa rahe hain wo sar-e-baalin aaj
meri aah-e-na-rasa bhi ba-asar hone lagi
un se wabasta ummiden jo bhi thin wo miT gain
ab tabi'at aap apni chaara-gar hone lagi
wo tabassum tha ki barq-e-husn ka e'jaz tha
kaenat-e-jaan-o-dil zer-o-zabar hone lagi
dil ki dhaDkan baDh gai aankhon mein aansu aa gae
ghaaliban meri taraf un ki nazar hone gi
jab chala 'mushtaq' apna karwan su-e-'adam
yas ham-aghosh ho kar ham-safar hone lagi
- Book : Asrar-ul-Mushtaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.