aap ki rah takta hai bimar-e-gham-e-dam kisi dam mein us ka nikal jaega

aap ki rah takta hai bimar-e-gham-e-dam kisi dam mein us ka nikal jaega
Naza'n Sholapuri
MORE BYNaza'n Sholapuri
aap kī raah taktā hai bīmār-e-ġham-e-dam kisī dam meñ us kā nikal jā.egā
aa bhī jaao ghaḌī do-ghaḌī ke liye baat rah jā.egī vaqt Tal jā.egā
ruḳh se chilman na apne haTāyā karo dekho saarā zamāna badal jā.egā
naujavānī kā 'ālam hai jān-e-jahāñ jo tumheñ dekh legā phisal jā.egā
le ke paiġhām-e-'ishrat bahār aaga.ī dil ke armān añgḌā.ī lene lage
aise mauqe pe tū ruuTh jaa.e agar hasratoñ kā janāza nikal jā.egā
ab arinī kahāñ lan-tarānī sunā us ke jalve se achchhā nahīñ khelnā
jalva-e-yār-e-mūsā tamāsha nahīñ hosh uḌ jā.eñge tuur jal jā.egā
kyā kahegā jahāñ ye to sochā karo paas 'nāzāñ' ke hargiz na aayā karo
chorī-chorī mulāqāt achchhī nahīñ dekh legā zamāna to jal jā.egā
aap ki rah takta hai bimar-e-gham-e-dam kisi dam mein us ka nikal jaega
aa bhi jao ghaDi do-ghaDi ke liye baat rah jaegi waqt Tal jaega
ruKH se chilman na apne haTaya karo dekho sara zamana badal jaega
naujawani ka 'alam hai jaan-e-jahan jo tumhein dekh lega phisal jaega
le ke paigham-e-'ishrat bahaar aagai dil ke arman angDai lene lage
aise mauqe pe tu ruTh jae agar hasraton ka janaza nikal jaega
ab arini kahan lan-tarani suna us ke jalwe se achchha nahin khelna
jalwa-e-yar-e-musa tamasha nahin hosh uD jaenge tur jal jaega
kya kahega jahan ye to socha karo pas 'nazan' ke hargiz na aaya karo
chori-chori mulaqat achchhi nahin dekh lega zamana to jal jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.