ai jaan gham-e-dushman mein shorida-sari kyun hai

ai jaan gham-e-dushman mein shorida-sari kyun hai
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
ai jaan ġham-e-dushman meñ shorīda-sarī kyuuñ hai
ham to abhī zinda haiñ ye jāma-darī kyuuñ hai
āñkhoñ ke dikhāne se zālim tujhe kyā hāsil
yūñhīñ tirā banda huuñ jādū-nazarī kyuuñ hai
us yaar ke milne se hasrat na miTī dil kī
sil dard musībat kī chhātī pe dharī kyuuñ hai
maiñ ne jo siyā dāman vahshat ne kahā tham jā
maiñ aatī huuñ dīvāne ye baḳhiya-garī kyuuñ hai
'muztar' ko jo rote ho kyā tum se mohabbat thī
us sog ke maiñ sadqe āñkhoñ meñ tirī kyuuñ hai
ai jaan gham-e-dushman mein shorida-sari kyun hai
hum to abhi zinda hain ye jama-dari kyun hai
aankhon ke dikhane se zalim tujhe kya hasil
yunhin tera banda hun jadu-nazari kyun hai
us yar ke milne se hasrat na miTi dil ki
sil dard musibat ki chhati pe dhari kyun hai
main ne jo siya daman wahshat ne kaha tham ja
main aati hun diwane ye baKHiya-gari kyun hai
'muztar' ko jo rote ho kya tum se mohabbat thi
us sog ke main sadqe aankhon mein teri kyun hai
- Book : Naghma-e-Sheeri'n (Pg. 4)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.