Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mere mashuq tum ho yar tum ho dil-bara tum ho

Muztar Khairabadi

mere mashuq tum ho yar tum ho dil-bara tum ho

Muztar Khairabadi

MORE BYMuztar Khairabadi

    mire mā'shūq tum ho yaar tum ho dil-barā tum ho

    ye sab kuchh ho magar maiñ kah nahīñ saktā ki kyā tum ho

    tumhāre naam se sab log mujh ko jaan jaate haiñ

    maiñ vo khoī huī ek chiiz huuñ jis pata tum ho

    bure sab haiñ to phir kyuuñ tum bhalā kahte ho dushman ko

    bhale tum ho to phir kyuuñ chāhte sab burā tum ho

    mere ma'shuq tum ho yar tum ho dil-bara tum ho

    ye sab kuchh ho magar main kah nahin sakta ki kya tum ho

    tumhaare nam se sab log mujh ko jaan jate hain

    main wo khoi hui ek chiz hun jis ka pata tum ho

    bure sab hain to phir kyun tum bhala kahte ho dushman ko

    bhale tum ho to phir kyun chahte sab ka bura tum ho

    Source :
    • Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 18)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now