Sufinama

kabhi to chhaTega faza se andhera kabhi to madhur chandni raat hogi

Maqbool Ahmed Sabri

kabhi to chhaTega faza se andhera kabhi to madhur chandni raat hogi

Maqbool Ahmed Sabri

MORE BYMaqbool Ahmed Sabri

    kabhī to chhaTegā fazā se añdherā kabhī to madhur chāñdnī raat hogī

    kabhī to jaleñge charāġh-e-mohabbat usī roz un se mulāqāt hogī

    agar dam-badam vo hameñ yaad aa.eñ shab-e-ġham tārīk tanhā.iyoñ meñ

    to bikhreñgī zulfeñ to chhā.eñge bādal jo Tapkeñge aañsū vo barsāt hogī

    ġhazab hai idhar merī jaañ pe banī hai udhar un ke paañv meñ mehñdī lagī hai

    agar aise 'ālam meñ bhī tum na aa.e to kyā hashr ke din mulāqāt hogī

    marīz-e-mohabbat hai vaqt-e-āḳhir ḳhudā ke liye ab chale bhī to aao

    agar tum na aa.e ai jān-e-masīhā to ye raat phir āḳhirī raat hogī

    judā.ī ke lamhe qarīb aa ga.e haiñ sitāroñ ke dil Dūbte rahe haiñ

    idhar aao tum ko gale se lagā luuñ ḳhudā jaane phir kab mulāqāt hogī

    ye duniyā do-rañgī 'ajab 'ishq bāteñ agar pyaar māñgo to hasrat milegī

    chaman zindagī ke hazāroñ khileñge magar ek dil kalī na milegī

    fazā chup ghaTā chup zamīñ āsmāñ chup chaman chup kalī chup haiñ aur kahkashāñ chup

    udhar vo bhī chup haiñ idhar maiñ bhī chup huuñ ilāhī merī raat kaise kaTegī

    kahīñ giit gūñjegī shahnā.iyoñ ke kahīñ āh-o-zārī kahīñ shor-e-mātam

    kisī kahīñ se janāza uThegā kisī ghar se dūlhan Dolī uThegī

    lage har qadam par hasīnoñ ke mele kisī ne kabhī 'maqbūl' itnā na pūchhā

    kahāñ rahe ho akele-akele rah-e-zindagī yuuñ na tanhā kaTegī

    kabhi to chhaTega faza se andhera kabhi to madhur chandni raat hogi

    kabhi to jalenge charagh-e-mohabbat usi roz un se mulaqat hogi

    agar dam-badam wo hamein yaad aaen shab-e-gham ki tarik tanhaiyon mein

    to bikhrengi zulfen to chhaenge baadal jo Tapkenge aansu wo barsat hogi

    ghazab hai idhar meri jaan pe bani hai udhar un ke panw mein mehndi lagi hai

    agar aise 'alam mein bhi tum na aae to kya hashr ke din mulaqat hogi

    mariz-e-mohabbat ka hai waqt-e-aKHir KHuda ke liye ab chale bhi to aao

    agar tum na aae ai jaan-e-masiha to ye raat phir aaKHiri raat hogi

    judai ke lamhe qarib aa gae hain sitaron ke dil Dubte ja rahe hain

    idhar aao tum ko gale se laga lun KHuda jaane phir kab mulaqat hogi

    ye duniya do-rangi 'ajab 'ishq ki baaten agar pyar mango to hasrat milegi

    chaman zindagi ke hazaron khilenge magar ek dil ki kali na milegi

    faza chup ghaTa chup zamin aasman chup chaman chup kali chup hain aur kahkashan chup

    udhar wo bhi chup hain idhar main bhi chup hun ilahi meri raat kaise kaTegi

    kahin git gunjegi shahnaiyon ke kahin aah-o-zari kahin shor-e-matam

    kisi ka kahin se janaza uThega kisi ghar se dulhan ki Doli uThegi

    lage har qadam par hasinon ke mele kisi ne kabhi 'maqbul' itna na puchha

    kahan ja rahe ho akele-akele rah-e-zindagi yun na tanha kaTegi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Sabri Brothers

    Sabri Brothers

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now