Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mar miTe jab hum to kuchh-kuchh rah par aane lage

Jalal Lakhnavi

mar miTe jab hum to kuchh-kuchh rah par aane lage

Jalal Lakhnavi

MORE BYJalal Lakhnavi

    mar miTe jab ham to kuchh-kuchh raah par aane lage

    vo hamārī qabr ko aa-ā ke Thukrāne lage

    apne dāman havā dete haiñ jin ko ġhash meñ aap

    aañkh kyuuñ khulne lagī kyuuñ hosh meñ aane lage

    'ishq meñ marnā hayāt-e-jāvedānī hai mujhe

    tum salāmat mere dushman jaan se jaane lage

    aap ye achchhī tasallī ham ko dene aa.e the

    pūchh kar bā'is taḌap aur taḌpāne lage

    kyā kisī hasrat bharī dil ko kiyā hai pā.emāl

    haath kuchh mal mal ke kyuuñ us vaqt pachhtāne lage

    intihā shoḳh-chashm ai dil samajhnā use

    be-hijābī jagah jo aañkh sharmāne lage

    baiTh jaane ijāzat us ne hai thoḌī der

    bas 'jalāl' uTTho bahut tum paañv phailāne lage

    mar miTe jab hum to kuchh-kuchh rah par aane lage

    wo hamari qabr ko aa-a ke Thukrane lage

    apne daman ki hawa dete hain jin ko ghash mein aap

    aankh kyun khulne lagi kyun hosh mein aane lage

    'ishq mein marna hayat-e-jawedani hai mujhe

    tum salamat mere dushman jaan se jaane lage

    aap ye achchhi tasalli hum ko dene aae the

    puchh kar ba'is taDap ka aur taDpane lage

    kya kisi hasrat bhari dil ko kiya hai paemal

    hath kuchh mal mal ke kyun us waqt pachhtane lage

    intiha ki shoKH-chashm ai dil samajhnā tu use

    be-hijabi ki jagah jo aankh sharmane lage

    baiTh jaane ki ijazat us ne di hai thoDi der

    bas 'jalal' uTTho bahut tum panw phailane lage

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now