kaba ko samajh kar na to but-KHana samajh kar
kā'ba ko samajh kar na to but-ḳhāna samajh kar
kar lete haiñ sajda dar-e-jānāna samajh kar
ik roz to aao mire ḳhāna-e-dil meñ
ābād karo tum ise vīrāna samajh kar
ġhairoñ se kiyā karte ho be-parvā ishāre
aur ham se chhupāte ho muñh begāna samajh kar
aa jā tū nigāhoñ meñ mirī o but-e-'ayyār
apnā hī banā le mujhe dīvāna samajh kar
samjhūñ maiñ tumheñ sham' ke mānind hamesha
tum mujh ko jalāyā karo parvāna samajh kar
vahdat kā agar jaam mile hazrat-e-zāhid
masjid meñ pilā.eñ tumheñ mai-ḳhāna samajh kar
varna chale jaao darbār meñ ‘hashmatÆ
rokegā na koī tumheñ dīvāna samajh kar
ka'ba ko samajh kar na to but-KHana samajh kar
kar lete hain sajda dar-e-jaanana samajh kar
ek roz to aao mere KHana-e-dil mein
aabaad karo tum ise virana samajh kar
ghairon se kiya karte ho be-parwa ishaare
aur hum se chhupate ho munh begana samajh kar
aa ja tu nigahon mein meri o but-e-'ayyar
apna hi bana le mujhe diwana samajh kar
samjhun main tumhein sham' ke manind hamesha
tum mujh ko jalaya karo parwana samajh kar
wahdat ka agar jam mile hazrat-e-zahid
masjid mein pilaen tumhein mai-KHana samajh kar
warna chale jao darbar mein ‘hashmatÆ
rokega na koi tumhein diwana samajh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.