karun kyun na yaad-e-KHuda chupke-chupke
karūñ kyuuñ na yād-e-ḳhudā chupke-chupke
milegā mirā mudda'ā chupke-chupke
hamārī taraf se bhī taiba meñ chal kar
kuchh hazrat se kahnā chupke-chupke
kaheñge ḳhudā se kuchh ummat ke ḳhātir
qayāmat ke din mustafā chupke-chupke
hajar ne abbū jahl kī muTThiyoñ meñ
tumhārā hī kalima paḌhā chupke-chupke
nazar aa.ī jab ḳhvāb meñ zulf-e-jānāñ
to vallail paḌhne lagā chupke-chupke
nakīrain se qabr meñ terī bābat
rahā der tak tazkira chupke-chupke
madīne gayā qāfila jab ki ‘hashmat’
to pahroñ maiñ royā kiyā chupke-chupke
karun kyun na yaad-e-KHuda chupke-chupke
milega mera mudda'a chupke-chupke
hamari taraf se bhi taiba mein chal kar
kuchh hazrat se kahna chupke-chupke
kahenge KHuda se kuchh ummat ke KHatir
qayamat ke din mustafa chupke-chupke
hajar ne abbu jahl ki muTThiyon mein
tumhaara hi kalima paDha chupke-chupke
nazar aai jab KHwab mein zulf-e-jaanan
to wallail paDhne laga chupke-chupke
nakirain se qabr mein teri babat
raha der tak tazkira chupke-chupke
madine gaya qafila jab ki ‘hashmat’
to pahron main roya kiya chupke-chupke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.