KHanjar laga tu qatil tewri badal-badal kar
ḳhanjar lagā tū qātil tevrī badal-badal kar
armān taaki nikleñ dil se machal-machal kar
āñkheñ kabhī dikhā.eñ palkeñ kabhī bichhā.eñ
nashtar lagā.ī maiñ ne kyā-kyā sambhal sambhal kar
siina se dil meñ aa kar dil se jigar meñ aa kar
tīr-e-nazar chale haiñ pahlū badal-badal kar
pīchhā na chhoḌā shab ko un kī hayā ne merā
shab bhar yuuñ hī guzārī karvaT badal-badal kar
vo hoñ sitam-rasīda marne ke baa'd apne
rotī haiñ hasrateñ bhī dil se nikal-nikal kar
hai chaar din kī ye to sab chāñdnī jahāñ meñ
chal degā ye zamāna karvaT badal-badal kar
KHanjar laga tu qatil tewri badal-badal kar
arman taki niklen dil se machal-machal kar
aankhen kabhi dikhaen palken kabhi bichhaen
nashtar lagai main ne kya-kya sambhal sambhal kar
sina se dil mein aa kar dil se jigar mein aa kar
tir-e-nazar chale hain pahlu badal-badal kar
pichha na chhoDa shab ko un ki haya ne mera
shab bhar yun hi guzari karwaT badal-badal kar
wo hon sitam-rasida marne ke ba'd apne
roti hain hasraten bhi dil se nikal-nikal kar
hai chaar din ki ye to sab chandni jahan mein
chal dega ye zamana karwaT badal-badal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.