kufr-e-sanam nasib hua salam ho na ho

kufr-e-sanam nasib hua salam ho na ho
Ghulam Muhammad Jaloanvi
MORE BYGhulam Muhammad Jaloanvi
kufr-e-sanam nasīb huā salām ho na ho
maqbūl-e-kHās-o-’ām ye badnām ho na ho
ā.eñge sar-ba-sar tere bāzār-e-'ishq meñ
tauhīn hī sahī chalo ikrām ho na ho
jalte raheñge jab talak is tan meñ jaan hai
rāh-e-daraz-e-’ishq sar-anjām ho na ho
be-iḳhtiyār aap ke kūcha se ai sanam
bād-e-sabā tū aa.egī paiġhām ho na ho
shīrīñ laboñ se aap ke vo gāliyāñ sahī
bos-o-kanār kā hameñ in'ām ho na ho
'āshiq hai jo murād pe us yaar ke chale
hasb-e-murād us ke dil-ārām ho na ho
mast-e-kHarāb-e-hāl ko dar se na roknā
saaqī sharāb-e-nāb se pur jaam ho na ho
matlab hai 'ishq aur koī aarzū nahīñ
dīdār-e-zul-jalāl-val-ikrām ho na ho
sañg-e-dar-e-habīb se uTThe na sar 'ġhulām'
maqsūd bar aa.e na aa.e kaam ho na ho
kufr-e-sanam nasib hua salam ho na ho
maqbul-e-kHas-o-’am ye badnam ho na ho
aaenge sar-ba-sar tere bazar-e-'ishq mein
tauhin hi sahi chalo ikram ho na ho
jalte rahenge jab talak is tan mein jaan hai
rah-e-daraz-e-’ishq sar-anjam ho na ho
be-iKHtiyar aap ke kucha se ai sanam
baad-e-saba tu aaegi paigham ho na ho
shirin labon se aap ke wo galiyan sahi
bos-o-kanar ka hamein in'am ho na ho
'ashiq hai jo murad pe us yar ke chale
hasb-e-murad us ke dil-aram ho na ho
mast-e-kHarab-e-haal ko dar se na rokna
saqi sharab-e-nab se pur jam ho na ho
matlab hai 'ishq aur koi aarzu nahin
didar-e-zul-jalal-wal-ikram ho na ho
sang-e-dar-e-habib se uTThe na sar 'ghulam'
maqsud bar aae na aae kaam ho na ho
- Book : Diwan-e-Ishq (Pg. 42)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.