tauhid ka maza hai ki ghair-e-KHuda na ho

tauhid ka maza hai ki ghair-e-KHuda na ho
Ghulam Muhammad Jaloanvi
MORE BYGhulam Muhammad Jaloanvi
tauhīd kā mazā hai ki ġhair-e-ḳhudā na ho
dil meñ tamīz dair-o-haram kī zarā na ho
nūr-e-ḳhudā nazar meñ na aa.egā jab talak
zañg-e-ḳhudī se ā.īna-e-dil safā na ho
bahattar hai vo sharāb ki jis meñ ho be-ḳhudī
kis kaam kī namāz hai jis meñ mazā na ho
labb-e-lubā-e-jumla kamālāt-e-'ishq hai
mumkin nahīñ ki 'ishq bhī ho auliyā na ho
lete haiñ dostī meñ vo lekin ye shart hai
'āshiq ho mai-parast bhī ho pārsā na ho
duniyā parast bhī hoñ vilāyat ke mudda'ī
faqr-o-fanā meñ gar kahīñ rañj-o-balā na ho
darbār-e-husn meñ yahī qānūn paas hai
nāz-o-adā to ho magar mehr-o-vafā na ho
dilbar to hai qarīb-tar apnī hayāt se
'uqda khule kahāñ se agar peshvā na ho
apnī ḳhudī ko chhoḌ ke kahnā 'ġhulām' ko
mansūr kī tarah jo laboñ par anā na ho
tauhid ka maza hai ki ghair-e-KHuda na ho
dil mein tamiz dair-o-haram ki zara na ho
nur-e-KHuda nazar mein na aaega jab talak
zang-e-KHudi se aaina-e-dil safa na ho
bahattar hai wo sharab ki jis mein ho be-KHudi
kis kaam ki namaz hai jis mein maza na ho
labb-e-luba-e-jumla kamalat-e-'ishq hai
mumkin nahin ki 'ishq bhi ho auliya na ho
lete hain dosti mein wo lekin ye shart hai
'ashiq ho mai-parast bhi ho parsa na ho
duniya parast bhi hon wilayat ke mudda'i
faqr-o-fana mein gar kahin ranj-o-bala na ho
darbar-e-husn mein yahi qanun pas hai
naz-o-ada to ho magar mehr-o-wafa na ho
dilbar to hai qarib-tar apni hayat se
'uqda khule kahan se agar peshwa na ho
apni KHudi ko chhoD ke kahna 'ghulam' ko
mansur ki tarah jo labon par ana na ho
- Book : Diwan-e-Ishq (Pg. 43)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.