waqt-e-ruKHsat kya hua kuchh yaad hai

waqt-e-ruKHsat kya hua kuchh yaad hai
Ghulam Moinuddin Gilani
MORE BYGhulam Moinuddin Gilani
vaqt-e-ruḳhsat kyā huā kuchh yaad hai
kaise bichhḌe ham bhalā kuchh yaad hai
muñh se jab niklā ki achchhā alvidā'
chashm-e-tar se kyā girā kuchh yaad hai
'iid ke din kyā huī thī guftugū
kyā gale mil kar kahā kuchh yaad hai
ajnabiyyat kā hijāb kaise uThā
muñh se farmāo zarā kuchh yaad hai
is qadar ab be-ruḳhī achchhī nahīñ
maiñ vahī huuñ āshnā kuchh yaad hai
tum to kahte the mirī tum jaan ho
kyā ye sach maiñ ne kahā kuchh yaad hai
chupke-chupke raat ko aanā terā
aur dabānā haath kā kuchh yaad hai
pher liiñ haiñ tū ne āñkheñ kis liye
kyā yahī thā faisla kuchh yaad hai
āñkhoñ-āñkhoñ meñ ishāre kyā hue
kyā diyā aur kyā liyā kuchh yaad hai
ham na bichhḌeñge kabhī tā-’umr-bhar
ye bhalā kis ne kahā kuchh yaad hai
jis adā-o-nāz se saudā kiyā
us dil-e-'mushtāq' kā kuchh yaad hai
waqt-e-ruKHsat kya hua kuchh yaad hai
kaise bichhDe hum bhala kuchh yaad hai
munh se jab nikla ki achchha alwida'
chashm-e-tar se kya gira kuchh yaad hai
'id ke din kya hui thi guftugu
kya gale mil kar kaha kuchh yaad hai
ajnabiyyat ka hijab kaise uTha
munh se farmao zara kuchh yaad hai
is qadar ab be-ruKHi achchhi nahin
main wahi hun aashna kuchh yaad hai
tum to kahte the meri tum jaan ho
kya ye sach main ne kaha kuchh yaad hai
chupke-chupke raat ko aana tera
aur dabana hath ka kuchh yaad hai
pher lin hain tu ne aankhen kis liye
kya yahi tha faisla kuchh yaad hai
aankhon-ankhon mein ishaare kya hue
kya diya aur kya liya kuchh yaad hai
hum na bichhDenge kabhi ta-’umr-bhar
ye bhala kis ne kaha kuchh yaad hai
jis ada-o-naz se sauda kiya
us dil-e-'mushtaq' ka kuchh yaad hai
- Book : Asrar-ul-Mushtaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.