ishq tujhse jo humne yar kiya
'ishq tujh se jo ham ne yaar kiyā
dil kī hasrat ko āshakār kiyā
kyā kiyā aap ne ye hazrat-e-dil
sab sukūñ nazr-e-e'tibār kiyā
terī sūrat ko dekh kar ham ne
tujh pe kaunain ko nisār kiyā
un ke chaukhaT ko chuum kar ham ne
sajda-e-shukr bār-bār kiyā
tum na uTTho abhī ki jī bhar kar
ham ne dekhā tumheñ na pyaar kiyā
shauq se pā.emāl-e-nāz karo
nazar-andāz kyuuñ mazār kyā
vā'iz aur ma.e pe tabsira rindo
tum ne bhī kis kā e'tibār kiyā
dil-e-ḳhāna-ḳharāb ne 'mushtāq'
dekh ākHir zalīl-o-ḳhvār kiyā
'ishq tujh se jo hum ne yar kiya
dil ki hasrat ko aashakar kiya
kya kiya aap ne ye hazrat-e-dil
sab sukun nazr-e-e'tibar kiya
teri surat ko dekh kar hum ne
tujh pe kaunain ko nisar kiya
un ke chaukhaT ko chum kar hum ne
sajda-e-shukr bar-bar kiya
tum na uTTho abhi ki ji bhar kar
hum ne dekha tumhein na pyar kiya
shauq se paemal-e-naz karo
nazar-andaz kyun mazar kya
wa'iz aur mae pe tabsira rindo
tum ne bhi kis ka e'tibar kiya
dil-e-KHana-KHarab ne 'mushtaq'
dekh aakHir zalil-o-KHwar kiya
- Book : Asrar-ul-Mushtaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.