tera dard mera darman tera gham meri KHushi hai
Interesting Fact
اس غزل کا دوسرا شعر باقرؔ شاہجہان پوری کا ہے۔
terā dard merā darmāñ terā ġham merī ḳhushī hai
mujhe dard dene vaale terī banda-parvarī hai
terā ġham rahe salāmat mere dil ko kyā kamī hai
yahī merī bandagī hai yahī merī zindagī hai
unheñ e'tibār-e-ulfat jo na ho sakā abhī tak
maiñ samajh gayā yaqīnan abhī mujh meñ kuchh kamī hai
baḌe bad-nasīb the ham jo qarār tak na pahuñche
dar yaar tak to pahuñche dil-e-yār tak na pahuñche
jo naqāb-e-ruḳh uThā dī to ye qaid bhī lagā dī
uThe har nigāh lekin koī baam tak na pahuñche
tera dard mera darman tera gham meri KHushi hai
mujhe dard dene wale teri banda-parwari hai
tera gham rahe salamat mere dil ko kya kami hai
yahi meri bandagi hai yahi meri zindagi hai
unhen e'tibar-e-ulfat jo na ho saka abhi tak
main samajh gaya yaqinan abhi mujh mein kuchh kami hai
baDe bad-nasib the hum jo qarar tak na pahunche
dar yar tak to pahunche dil-e-yar tak na pahunche
jo naqab-e-ruKH uTha di to ye qaid bhi laga di
uThe har nigah lekin koi baam tak na pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.