KHub pahchan liya humne ke han han hai yahi
ḳhuub pahchān liyā ham ne ke haañ haañ hai yahī
ab na bhūleñge kyuuñ use sūrat-e-jānāñ hai yahī
'ishq meñ rāhbar manzil-e-jānāñ hai yahī
shauq kahte haiñ jise murshid-e-pākāñ hai yahī
ġhamza-o-nāz-o-adā shokHī-o-andāz-e-kHirām
teġh kyā hogī mirī qatl kā sāmāñ hai yahī
kalima-e-kufr paḌhātā hai musalmānoñ se
'ishq kahte haiñ use dushman-e-īmāñ hai yahī
na udhar jā idhar shaiḳh kī masjid hai qarīb
aa idhar pīr-e-muġhāñ mahfil-e-rindāñ hai yahī
jis ne ā.īna ko hairān banā rakhā hai
dekh kar aap ko ā.īna meñ hairāñ hai yahī
de ke dam tum ne sahīñ jaur-o-jafā۔eñ 'bedam'
kyā ta'ajjub hai vafādāroñ ke shāyāñ hai yahī
KHub pahchan liya hum ne ke han han hai yahi
ab na bhulenge kyun use surat-e-jaanan hai yahi
'ishq mein rahbar manzil-e-jaanan hai yahi
shauq kahte hain jise murshid-e-pakan hai yahi
ghamza-o-naz-o-ada shokHi-o-andaz-e-kHiram
tegh kya hogi meri qatl ka saman hai yahi
kalima-e-kufr paDhata hai musalmanon se
'ishq kahte hain use dushman-e-iman hai yahi
na udhar ja idhar shaiKH ki masjid hai qarib
aa idhar pir-e-mughan mahfil-e-rindan hai yahi
jis ne aaina ko hairan bana rakha hai
dekh kar aap ko aaina mein hairan hai yahi
de ke dam tum ne sahin jaur-o-jafa۔en 'bedam'
kya ta'ajjub hai wafadaron ke shayan hai yahi
- Book : Majmua-e-Qawwali, Part 4 (Pg. 13)
 
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.