chahne jab se laga hai mera dildar mujhe

chahne jab se laga hai mera dildar mujhe
Azizuddin Rizwan Qadri
MORE BYAzizuddin Rizwan Qadri
chāhne jab se lagā hai merā dildār mujhe
dekh kar rashk kiyā karte haiñ aġhyār mujhe
kyuuñ hairat se bhalā dekhūñ har ik zarre ko
jab ki har shai meñ nazar aate haiñ sarkār mujhe
jab ki dīdār dikhānā tujhe manzūr na thā
kyuuñ banāyā gayā phir tālib-e-dīdār mujhe
sirf mai-ḳhāna kā maiñ zikr kiyā karatā huuñ
ḳhvāh-maḳhvāh log kahā karte haiñ mai-ḳhvār mujhe
bārhā maut mujhe lene ko aa.ī thī magar
ho ke māyūs ga.ī dekh ke bedār mujhe
pūjnā ḳhud ko sub.h-o-shām hai fitrat merī
log samjhe nahīñ kahte rahe ḳhuddār mujhe
haath meñ sāġhar-e-al-haq ho aur qazā aa jaa.e
yahī tākīd huā kartī hai har baar mujhe
'ishq kī ho ga.ī me'arāj bajā hai 'rizvāñ'
kahīñ rusvā na ye kar de sar-e-bāzār mujhe
chahne jab se laga hai mera dildar mujhe
dekh kar rashk kiya karte hain aghyar mujhe
kyun hairat se bhala dekhun har ek zarre ko
jab ki har shai mein nazar aate hain sarkar mujhe
jab ki didar dikhana tujhe manzur na tha
kyun banaya gaya phir talib-e-didar mujhe
sirf mai-KHana ka main zikr kiya karata hun
KHwah-maKHwah log kaha karte hain mai-KHwar mujhe
barha maut mujhe lene ko aai thi magar
ho ke mayus gai dekh ke bedar mujhe
pujna KHud ko subh-o-sham hai fitrat meri
log samjhe nahin kahte rahe KHuddar mujhe
hath mein saghar-e-al-haq ho aur qaza aa jae
yahi takid hua karti hai har bar mujhe
'ishq ki ho gai me'araj baja hai 'rizwan'
kahin ruswa na ye kar de sar-e-bazar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.