phir wahi be-bakiyan pahli si dikhlane lage
phir vahī be-bākiyāñ pahlī sī dikhlāne lage
phir mujhe chheḌā tasavvur meñ mire aane lage
phir ḳhayāl-e-yār meñ chuTkiyāñ lene lagā
phir hamāre dīda-e-tar ashk barsāne lage
ab koī dam meñ huā jaatā hai apnā ḳhātima
phir vahī andāz-e-mā’shūqāna dikhlāne lage
aa.e jab gor ġharībāñ par vo bahr-e-fātiha
’āshiq-e-jāñ-bāz kī turbat ko Thukrāne lage
phir wahi be-bakiyan pahli si dikhlane lage
phir mujhe chheDa tasawwur mein mere aane lage
phir KHayal-e-yar mein chuTkiyan lene laga
phir hamare dida-e-tar ashk barsane lage
ab koi dam mein hua jata hai apna KHatima
phir wahi andaz-e-ma’shuqana dikhlane lage
aae jab gor ghariban par wo bahr-e-fatiha
’ashiq-e-jaan-baz ki turbat ko Thukrane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.