yas-o-hasrat ka tere baad aaina rah jaega
yās-o-hasrat kā tire ba.ad ā.īna rah jā.egā
jo bhī dekhegā mirā muñh dekhtā rah jā.egā
ek din aisā bhī hogā intizār-e-yār meñ
niiñd aa jā.egī darvāza khulā rah jā.egā
tum na jaao zīnat-e-gulshan tumhāre dam se hai
tum chale jāoge to gulshan meñ kyā rah jā.egā
phuul hañsnā chhoḌ deñge aap ke jaane ke ba.ad
ro.egī shabnam chaman ujḌā huā rah jā.egā
rāste ke pech-o-ḳham rahbar samajh le soch le
raah meñ varna bhaTak kar qāfila rah jā.egā
soch kar merī vafā.eñ mere mar jaane ke ba.ad
haath mil kar ek din vo bevafā rah jā.egā
koī duniyā meñ nahīñ aayā hamesha ke liye
bas ḳhudā kā naam hī nām-e-ḳhudā rah jā.egā
jab kabhī hogā achānak 'purnam' un kā sāmnā
band ho kar āñsuoñ kā silsila rah jā.egā
yas-o-hasrat ka tere baad aaina rah jaega
jo bhi dekhega mera munh dekhta rah jaega
ek din aisa bhi hoga intizar-e-yar mein
nind aa jaegi darwaza khula rah jaega
tum na jao zinat-e-gulshan tumhaare dam se hai
tum chale jaoge to gulshan mein kya rah jaega
phul hansna chhoD denge aap ke jaane ke baad
roegi shabnam chaman ujDa hua rah jaega
raste ke pech-o-KHam rahbar samajh le soch le
rah mein warna bhaTak kar qafila rah jaega
soch kar meri wafaen mere mar jaane ke baad
hath mil kar ek din wo bewafa rah jaega
koi duniya mein nahin aaya hamesha ke liye
bas KHuda ka nam hi nam-e-KHuda rah jaega
jab kabhi hoga achanak 'purnam' un ka samna
band ho kar aansuon ka silsila rah jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.