Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

har samt main bas zulm-o-sitam dekh raha hun

Wasif Alam Moazzami

har samt main bas zulm-o-sitam dekh raha hun

Wasif Alam Moazzami

MORE BYWasif Alam Moazzami

    har samt maiñ bas zulm-o-sitam dekh rahā huuñ

    zulmat pe charāġhoñ karam dekh rahā huuñ

    kal rahte the rahzan ke jahāñ naqsh-e-kaf-e-pā

    rahbar ke vahāñ naqsh-e-qadam dekh rahā huuñ

    jin sham.oñ se kuchh raushnī mujh ko thī ummīd

    sar un ke bhī zulmāt pe ḳham dekh rahā huuñ

    tum ne jo chhupā.e hue rakkhe the sabhī raaz

    chehre pe tumhāre meñ raqam dekh rahā huuñ

    jis tarh se raqsāñ haiñ habāboñ meñ havā.eñ

    kuchh vaise har dil meñ alam dekh rahā huuñ

    ulfat diyā dil meñ jalā.e hue 'vāsif'

    TuuTe hue zulmat ke sanam dekh rahā huuñ

    har samt main bas zulm-o-sitam dekh raha hun

    zulmat pe charaghon ka karam dekh raha hun

    kal rahte the rahzan ke jahan naqsh-e-kaf-e-pa

    rahbar ke wahan naqsh-e-qadam dekh raha hun

    jin shamon se kuchh raushni ki mujh ko thi ummid

    sar un ke bhi zulmat pe KHam dekh raha hun

    tum ne jo chhupae hue rakkhe the sabhi raaz

    chehre pe tumhaare mein raqam dekh raha hun

    jis tarh se raqsan hain hababon mein hawaen

    kuchh waise hi har dil mein alam dekh raha hun

    ulfat ka diya dil mein jalae hue 'wasif'

    TuTe hue zulmat ke sanam dekh raha hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now