Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

haq ki rahon mein jo aaya bas wahi zinda raha

Syed Amjad Hussain

haq ki rahon mein jo aaya bas wahi zinda raha

Syed Amjad Hussain

MORE BYSyed Amjad Hussain

    haq rāhoñ meñ jo aayā bas vahī zinda rahā

    ḳhaak meñ mil kar bhī dekho nuur ban chamkā rahā

    naam un aaj tak tārīḳh ke pannoñ pe hai

    un qaul-o-faisla har daur meñ zinda rahā

    jin ke sajdoñ se juḌī thī āsmāñ raushnī

    un ke sajdoñ asar miTTī se gul khiltā rahā

    jis ko duniyā ne kahā thā ḳhaak ik zarra bhar

    us ke qadmoñ se zamīñ par taaj bhī jhuktā rahā

    un ke aane se aa.ī regzāroñ meñ bahār

    nuur phailā aur añdherā dasht se jaatā rahā

    naam un aaj bhī markaz hai rāhat ke liye

    jo bhī un chhāñv meñ aayā sukūñ paatā rahā

    sar jhukā.e bādshāh aa.e the jin ke dar pe kal

    aaj tak vo be-kasoñ ke dil meñ bhī zinda rahā

    rah gayā har dam sadā 'amjad' vafā raah par

    us qissa bazm-e-ahl-e-dil meñ bhī zinda rahā

    haq ki rahon mein jo aaya bas wahi zinda raha

    KHak mein mil kar bhi dekho nur ban chamka raha

    nam un ka aaj tak tariKH ke pannon pe hai

    un ka qaul-o-faisla har daur mein zinda raha

    jin ke sajdon se juDi thi aasman ki raushni

    un ke sajdon ka asar miTTi se gul khilta raha

    jis ko duniya ne kaha tha KHak ka ek zarra bhar

    us ke qadmon se zamin par taj bhi jhukta raha

    un ke aane se hi aai regzaron mein bahaar

    nur phaila aur andhera dasht se jata raha

    nam un ka aaj bhi markaz hai rahat ke liye

    jo bhi un ki chhanw mein aaya sukun pata raha

    sar jhukae baadshah aae the jin ke dar pe kal

    aaj tak wo be-kason ke dil mein bhi zinda raha

    rah gaya har dam sada 'amjad' wafa ki rah par

    us ka qissa bazm-e-ahl-e-dil mein bhi zinda raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now