us aastan ke sajde ko shams-o-qamar gae
us āstāñ ke sajde ko shams-o-qamar ga.e
ye jazb ye kashish thī ki shām-o-sahar ga.e
sāmān vaale le ke jo zād-e-safar ga.e
'ājiz tumhārī raah meñ be-bāl-o-par ga.e
dozaḳh hamāre sīna-e-sozāñ se dab ga.ī
gesū jo tere rū-e-havā par bikhar ga.e
maidān-e-rast-ḳhez meñ har sū ye shor hai
koī batā de shāfe'-e-mahshar kidhar ga.e
jam jaa.e ruḳh pe ḳhāk-e-qadam is ġharaz se ham
us āstāñ ke sajda ko bā-chashm-e-tar ga.e
ham nazar-e-rū-numā.ī dildār ke liye
duniyā se le ke tohfa-e-zakHm-e-jigar ga.e
kyā ham se pūchhte ho ki 'fazlī' kidhar ga.e
us ne hameñ jidhar se pukārā udhar ga.e
us aastan ke sajde ko shams-o-qamar gae
ye jazb ye kashish thi ki sham-o-sahar gae
saman wale le ke jo zad-e-safar gae
'ajiz tumhaari rah mein be-baal-o-par gae
dozaKH hamare sina-e-sozan se dab gai
gesu jo tere ru-e-hawa par bikhar gae
maidan-e-rast-KHez mein har su ye shor hai
koi bata de shafe'-e-mahshar kidhar gae
jam jae ruKH pe KHak-e-qadam is gharaz se hum
us aastan ke sajda ko ba-chashm-e-tar gae
hum nazar-e-ru-numai dildar ke liye
duniya se le ke tohfa-e-zakHm-e-jigar gae
kya hum se puchhte ho ki 'fazli' kidhar gae
us ne hamein jidhar se pukara udhar gae
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 227)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.