qaul-o-qarar teri KHatir se manta hun
qaul-o-qarār terī ḳhātir se māntā huuñ
varna ye jhūTī bāteñ maiñ ḳhuub jāntā huuñ
dil bas-ki hai muQaddar gardish se is falak kī
sā'at kā jab se shīsha maiñ ḳhaak chhāntā huuñ
nāseh dimāġh-sozī be-fā.ida hai terī
karatā huuñ baat maiñ vo jo dil meñ Thāntā huuñ
kuchh bul-'ajab nahīñ hai nargis agar kare gul
ye musht-e-ḳhāk apne aañsū se sāntā huuñ
ai 'ishq tū jagā rah shab ho ga.ī hai āḳhir
chādar ko niiñd kī le maiñ sar pe tāntā huuñ
qaul-o-qarar teri KHatir se manta hun
warna ye jhuTi baaten main KHub jaanta hun
dil bas-ki hai muQaddar gardish se is falak ki
sa'at ka jab se shisha main KHak chhanta hun
naseh dimagh-sozi be-faida hai teri
karata hun baat main wo jo dil mein Thanta hun
kuchh bul-'ajab nahin hai nargis agar kare gul
ye musht-e-KHak apne aansu se santa hun
ai 'ishq tu jaga rah shab ho gai hai aaKHir
chadar ko nind ki le main sar pe tanta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.