ishq sarmasti-e-shorida sari bhul gaya
'ishq sarmastī-e-shorīda sarī bhuul gayā
yā bashar rāz-e-’urūj-e-basharī bhuul gayā
shal huā dast-e-junoñ parda-darī bhuul gayā
dīda-dar zo’m-e-vasī’unnazarī bhuul gayā
ye bhī e’ajāz-e-qafas hai ki asīr-e-tāza
ḳhud-ba-ḳhud sadma-e-be-bāl-o-parī bhuul gayā
ġham kā bīmār zarā der kī rāhat ke liye
kaif afzā.ī-e-dar-o-jigarī bhuul gayā
ḳhud-farebī kī havāoñ ne kiyā aisā ḳharāb
gul bhī ehsān-e-nasīm-e-saharī bhuul gayā
chhīn lī tāb-e-bayāñ dil se 'atā-e-ġham ne
rāz-dāñ bante hī afsāna-garī bhuul gayā
husn-e-zāhir kī tajallī meñ ga.ī Duub nazar
dīda-e-fikr-e-haqīqat-nigrī bhuul gayā
apnī aahoñ ko 'atā karnā asar kī tāqat
ḳhud giraftār-e-ġham-e-be-asrī bhuul gayā
asar-e-sadma-e-furqat ko na ab DhūñDh 'niyāz'
sāhab-e-ġham hī vo hirmāñ-nazarī bhuul gayā
'ishq sarmasti-e-shorida sari bhul gaya
ya bashar raaz-e-’uruj-e-bashari bhul gaya
shal hua dast-e-junon parda-dari bhul gaya
dida-dar zo’m-e-wasi’unnazari bhul gaya
ye bhi e’ajaz-e-qafas hai ki asir-e-taza
KHud-ba-KHud sadma-e-be-baal-o-pari bhul gaya
gham ka bimar zara der ki rahat ke liye
kaif afzai-e-dar-o-jigari bhul gaya
KHud-farebi ki hawaon ne kiya aisa KHarab
gul bhi ehsan-e-nasim-e-sahari bhul gaya
chhin li tab-e-bayan dil se 'ata-e-gham ne
raaz-dan bante hi afsana-gari bhul gaya
husn-e-zahir ki tajalli mein gai Dub nazar
dida-e-fikr-e-haqiqat-nigri bhul gaya
apni aahon ko 'ata karna asar ki taqat
KHud giraftar-e-gham-e-be-asri bhul gaya
asar-e-sadma-e-furqat ko na ab DhunDh 'niyaz'
sahab-e-gham hi wo hirman-nazari bhul gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.