irade na hon jab ki dil ke irade
irāde na hoñ jab ki dil ke irāde
to jazb-e-talab kyuuñ na mahshar uThā de
shab-e-muntazir kī sahar hī na hogī
bujhā de charāġh-e-tamannā bujhā de
guzar bhī ga.ī chāñd-tāroñ kī manzil
haiñ ai justujū ab kahāñ ke irāde
sunūñ kyā maiñ ashkoñ kī rañgīñ kahānī
mohabbat ke qisse to ab bhī haiñ saade
mirī tarh anjām se bā-ḳhabar ho
to dekhūñ koī ġhuncha phir muskurā de
junūñ ke safar kī vahī ibtidā hai
jahāñ ḳhatm ho jaa.eñ imkāñ ke jaade
agar dekhnā hai 'niyāz' apne jalve
nazar se hijāb-e-ta'ayyun uThā de
irade na hon jab ki dil ke irade
to jazb-e-talab kyun na mahshar uTha de
shab-e-muntazir ki sahar hi na hogi
bujha de charagh-e-tamanna bujha de
guzar bhi gai chand-taron ki manzil
hain ai justuju ab kahan ke irade
sunun kya main ashkon ki rangin kahani
mohabbat ke qisse to ab bhi hain sade
meri tarh anjam se ba-KHabar ho
to dekhun koi ghuncha phir muskura de
junun ke safar ki wahi ibtida hai
jahan KHatm ho jaen imkan ke jade
agar dekhna hai 'niyaz' apne jalwe
nazar se hijab-e-ta'ayyun uTha de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.