Sufinama

na taDap hai barq-e-jamal mein na chamak hai chilman-e-naz mein

Niyaz Makanpuri

na taDap hai barq-e-jamal mein na chamak hai chilman-e-naz mein

Niyaz Makanpuri

MORE BYNiyaz Makanpuri

    na taḌap hai barq-e-jamāl meñ na chamak hai chilman-e-nāz meñ

    haiñ tamām husn tābisheñ mirī chashm-e-jalva-e-navāz meñ

    are mā-sivā meñ kahāñ bhalā jo sivā meñ husn hai jalva-zā

    hai sanam-kada basā huā dil-e-āshnā-e-majāz meñ

    mire chāra-gar na fareb khā ki sukūn-e-dard hai jalva-zā

    vahī shām-e-ġham hai ravāñ-davāñ mirī sub.h-e-hashr-e-tarāz meñ

    jo asīr-e-sahr-e-hayāt hai to ḳhirad lauh se kaam le

    tirī zindagī haqīqateñ haiñ nihāñ tilism-e-majāz meñ

    pas-e-be-ḳhudī to chalā bhī chal ki ḳhudī duur haiñ manzileñ

    abhī ai musāfir-e-zindagī na ulajh nasheb-o-farāz meñ

    damak ke zarra-e-be-kHirad na mirī nazar ko fareb de

    vo chamak ke tujh meñ karegā kyā jo nihāñ hai parda-e-rāz meñ

    mirī ḳhush-navā.ī jaan hai mere dost naġhma-e-’āshiqī

    nahīñ varna aisī halāvateñ haiñ kahāñ 'niyāz' ke saaz meñ

    na taDap hai barq-e-jamal mein na chamak hai chilman-e-naz mein

    hain tamam husn ki tabishen meri chashm-e-jalwa-e-nawaz mein

    are ma-siwa mein kahan bhala jo siwa mein husn hai jalwa-za

    hai sanam-kada sa basa hua dil-e-ashna-e-majaz mein

    mere chaara-gar na fareb kha ki sukun-e-dard hai jalwa-za

    wahi sham-e-gham hai rawan-dawan meri subh-e-hashr-e-taraaz mein

    jo asir-e-sahr-e-hayat hai to KHirad ki lauh se kaam le

    teri zindagi ki haqiqaten hain nihan tilism-e-majaz mein

    pas-e-be-KHudi to chala bhi chal ki KHudi ki dur hain manzilen

    abhi ai musafir-e-zindagi na ulajh nasheb-o-faraaz mein

    tu damak ke zarra-e-be-kHirad na meri nazar ko fareb de

    wo chamak ke tujh mein karega kya jo nihan hai parda-e-raaz mein

    meri KHush-nawai ki jaan hai mere dost naghma-e-’ashiqi

    nahin warna aisi halawaten hain kahan 'niyaz' ke saz mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now