dil-e-insan bhi allah jaane kya tamasha hai
dil-e-insāñ bhī allāh jaane kyā tamāsha hai
sitam kī us meñ bastī hai karam kī us meñ duniyā hai
tū apnī chāñdnī de kar na ai mahtāb zahmat kar
hamāre ḳhāna-e-tārīk meñ ġham kā ujālā hai
qubūliyat pe bekas kā tayaqqun ai ma'āz-allāh
ki hai sarf-e-du'ā har chand mahrūm-e-tamannā hai
mire zauq-e-nazar ne aabrū baḳhshī hai jalvoñ ko
mirī dīvāngī-e-ā.īna-dār-e-husn-e-yaktā hai
jabīn-e-bandagī āzād ho qaid ta'ayyun se
ki farq-e-dair-o-ka.aba hī harīf-e-zauq-e-sajda hai
diyā karatā thā duniyā ko kabhī jo dars-e-kHuddārī
vahī insāñ ab minnat-pazīr-e-ahl-e-duniyā hai
‘niyāz-e-be-zabāñ bazm-e-suḳhan meñ aur zabāñ khole
ye sab kuchh hazrat-e-ustād kī sohbat kā sadqa hai
dil-e-insan bhi allah jaane kya tamasha hai
sitam ki us mein basti hai karam ki us mein duniya hai
tu apni chandni de kar na ai mahtab zahmat kar
hamare KHana-e-tarik mein gham ka ujala hai
qubuliyat pe bekas ka tayaqqun ai ma'az-allah
ki hai sarf-e-du'a har chand mahrum-e-tamanna hai
mere zauq-e-nazar ne aabru baKHshi hai jalwon ko
meri diwangi-e-aina-dar-e-husn-e-yakta hai
jabin-e-bandagi aazad ho qaid ta'ayyun se
ki farq-e-dair-o-kaba hi harif-e-zauq-e-sajda hai
diya karata tha duniya ko kabhi jo dars-e-kHuddari
wahi insan ab minnat-pazir-e-ahl-e-duniya hai
‘niyaz-e-be-zaban bazm-e-suKHan mein aur zaban khole
ye sab kuchh hazrat-e-ustad ki sohbat ka sadqa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.