soz-e-ulfat ke saz ne mara
soz-e-ulfat ke saaz ne maarā
nāla-e-dil-navāz ne maarā
shauq sajde kā kam nahīñ hotā
us jabīn-e-niyāz ne maarā
sair ho kar fuġhāñ bhī kar na sake
kHauf-e-ifshā-e-rāz ne maarā
aur jiitā ġham kuchh din
karam-e-chāra-sāz ne maarā
āh-e-sozāñ kabhī kabhī aañsū
ġham-e-āfat-tarāz ne maarā
aap haiñ aap aur ham ham haiñ
is nasheb-o-farāz ne maarā
ek ho paa.e do bhī dil na 'niyāz'
nigah-e-imtiyāz ne maarā
soz-e-ulfat ke saz ne mara
nala-e-dil-nawaz ne mara
shauq sajde ka kam nahin hota
us jabin-e-niyaz ne mara
sair ho kar fughan bhi kar na sake
kHauf-e-ifsha-e-raaz ne mara
aur jita gham kuchh din
karam-e-chaara-saz ne mara
aah-e-sozan kabhi kabhi aansu
gham-e-afat-taraaz ne mara
aap hain aap aur hum hum hain
is nasheb-o-faraaz ne mara
ek ho pae do bhi dil na 'niyaz'
nigah-e-imtiyaz ne mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.