koi kis tarah raaz-e-ulfat chhupae
koī kis tarah rāz-e-ulfat chhupā.e
nigāheñ milīñ aur qadam Dagmagā.e
vo majbūriyoñ par mirī muskurā.e
yahāñ tak to pahuñche yahāñ tak to aa.e
mohabbat meñ kuchh ittifāqāt bhī the
ki jo merī taqdīr banñe na paa.e
zamāne ke jaur-o-sitam tauba tauba
ki aksar to mujh ko na tum yaad aa.e
vo is tarh mere barābar se guzre
adā.eñ sambhāle nigāheñ jhukā.e
tire rū-ba-rū gar nazar mutma.in ho
to siine meñ dil bhī dhaḌakne na paa.e
ye 'ālam bhī guzrā tirī anjuman meñ
na uTThā hī jaa.e na baiThā hī jaa.e
koi kis tarah raaz-e-ulfat chhupae
nigahen milin aur qadam Dagmagae
wo majburiyon par meri muskurae
yahan tak to pahunche yahan tak to aae
mohabbat mein kuchh ittifaqat bhi the
ki jo meri taqdir banne na pae
zamane ke jaur-o-sitam tauba tauba
ki aksar to mujh ko na tum yaad aae
wo is tarh mere barabar se guzre
adaen sambhaale nigahen jhukae
tere ru-ba-ru gar nazar mutmain ho
to sine mein dil bhi dhaDakne na pae
ye 'alam bhi guzra teri anjuman mein
na uTTha hi jae na baiTha hi jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.