kahne ko idhar udhar gae hum
kahne ko idhar udhar ga.e ham
the terī taraf jidhar ga.e ham
muddat se haiñ justujū meñ apnī
haiñ aap se is qadar ga.e ham
tab samjhe ki kyā hai kufr-o-islām
in donoñ se jab guzar ga.e ham
ai shaiḳh burā bhalā tū kah le
karnī thī jo kuchh so kar ga.e ham
jā baiTh na bak tū ham se zāhid
kyā tujh se kaheñ kidhar ga.e ham
juz 'ishq' na samjhe kufr-o-dīñ ko
tarfain se be-ḳhabar ga.e ham
kahne ko idhar udhar gae hum
the teri taraf jidhar gae hum
muddat se hain justuju mein apni
hain aap se is qadar gae hum
tab samjhe ki kya hai kufr-o-islam
in donon se jab guzar gae hum
ai shaiKH bura bhala tu kah le
karni thi jo kuchh so kar gae hum
ja baiTh na bak tu hum se zahid
kya tujh se kahen kidhar gae hum
juz 'ishq' na samjhe kufr-o-din ko
tarfain se be-KHabar gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.