bahaaron mein raha karata hai un ka intizar ab bhi

bahaaron mein raha karata hai un ka intizar ab bhi
Khwaja Nazir Nizami
MORE BYKhwaja Nazir Nizami
bahāroñ meñ rahā karatā hai un kā intizār ab bhī
vo aa jaa.eñ bayābānoñ meñ to aa jaa.e bahār ab bhī
dar-o-dīvār zindāñ par haiñ kuchh naqsh-o-nigār ab bhī
bahār ab miT chukī baaqī hai tasvīr-e-bahār ab bhī
bhalā kyuuñ kar na ab bhī mujh ko un kā e'tibār aa.e
vo kahte haiñ nahīñ hai tum ko merā e'tibār ab bhī
merī āñkhoñ meñ aañsū haiñ tabassum un ke hoñToñ par
ḳhizāñ apnī jagah apne Thikāne hai bahār ab bhī
nahīñ mā'lūm kis kā intizār is dil ko rahtā hai
magar is dil ko rahtā hai kisī kā intizār ab bhī
koī miltā to itnā pūchh lete un se ai 'nāzir'
hamārā zikr karte haiñ hamāre ġham-gusār ab bhī
bahaaron mein raha karata hai un ka intizar ab bhi
wo aa jaen bayabanon mein to aa jae bahaar ab bhi
dar-o-diwar zindan par hain kuchh naqsh-o-nigar ab bhi
bahaar ab miT chuki baqi hai taswir-e-bahaar ab bhi
bhala kyun kar na ab bhi mujh ko un ka e'tibar aae
wo kahte hain nahin hai tum ko mera e'tibar ab bhi
meri aankhon mein aansu hain tabassum un ke honTon par
KHizan apni jagah apne Thikane hai bahaar ab bhi
nahin ma'lum kis ka intizar is dil ko rahta hai
magar is dil ko rahta hai kisi ka intizar ab bhi
koi milta to itna puchh lete un se ai 'nazir'
hamara zikr karte hain hamare gham-gusar ab bhi
- Book : Hadis-e-Nizami (Pg. 220)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.