ye zulf-e-butan ka giraftar main hun
ye zulf-e-butāñ kā giraftār maiñ huuñ
ye bīmār chashmoñ kā bīmār maiñ huuñ
kidhar bahkī phirtī hai ai be-kasī tū
tirī jins kā yaañ ḳharīdār maiñ huuñ
idhar baat kahnā udhar dekh lenā
samajhtā huuñ sab ek ayyār maiñ huuñ
agar mujh se miliye kabhū aib kyā hai
na bad-vaz.a tū hai na bad-kār maiñ huuñ
kiso par balā terī tevrī chaḌhāve
tirī teġh-e-abrū kā afgār maiñ huuñ
sabhī apne jiine se ai 'dard' ḳhush haiñ
agar huuñ to ye ek be-zār maiñ huuñ
ye zulf-e-butan ka giraftar main hun
ye bimar chashmon ka bimar main hun
kidhar bahki phirti hai ai be-kasi tu
teri jins ka yan KHaridar main hun
idhar baat kahna udhar dekh lena
samajhta hun sab ek ayyar main hun
agar mujh se miliye kabhu aib kya hai
na bad-waza tu hai na bad-kar main hun
kiso par bala teri tewri chaDhawe
teri tegh-e-abru ka afgar main hun
sabhi apne jine se ai 'dard' KHush hain
agar hun to ye ek be-zar main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.