himmat-e-mardana hum hain raunaq-e-mai-KHana hum

himmat-e-mardana hum hain raunaq-e-mai-KHana hum
Iqbal Ashraf simnaani
MORE BYIqbal Ashraf simnaani
himmat-e-mardāna ham haiñ raunaq-e-mai-ḳhāna ham
aa.e haiñ maqtal meñ bhī bā-shaukat-e-shāhāna ham
pul-sirāt-e-'ahd-e-daurāñ hai pe haq par gāmzan
yā husainā kī sadā pe nāra-e-mastāna ham
marg kā kuchh ḳhauf hai kyā 'āshiqoñ ko ab tire
shauq se rakhte haiñ ḳhanjar pe dil-e-dīvāna ham
dekhnā un ko hai goyā dekhnā sarkār ko
is liye takte rahe haiñ nargis-e-mastāna ham
'ishq-e-ahl-e-bait hai 'ashraf' ki ik raushan charāġh
tauf karte gird jis ke sūrat-e-parvāna ham
himmat-e-mardana hum hain raunaq-e-mai-KHana hum
aae hain maqtal mein bhi ba-shaukat-e-shahana hum
pul-siraat-e-'ahd-e-dauran hai pe haq par gamzan
ya husaina ki sada pe nara-e-mastana hum
marg ka kuchh KHauf hai kya 'ashiqon ko ab tere
shauq se rakhte hain KHanjar pe dil-e-diwana hum
dekhna un ko hai goya dekhna sarkar ko
is liye takte rahe hain nargis-e-mastana hum
'ishq-e-ahl-e-bait hai 'ashraf' ki ek raushan charagh
tauf karte gird jis ke surat-e-parwana hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.