apni had se guzar gaya koi
apnī had se guzar gayā koī
mere dil se utar gayā koī
tere andar kahīñ maiñ zinda huuñ
mere andar to mar gayā koī
raat ne dī yuuñ haule se dastak
aur bachche sā Dar gayā koī
jism-e-ḳhasta ko bistare pe rakhe
ret jaisā bikhar gayā koī
ik qayāmat huī bapā mujh meñ
'ahd se jab mukar gayā koī
rukte-rukte lagā maiñ chalne par
chalte-chalte Thahar gayā koī
hijr kī shab bigaḌ gayā thā maiñ
hijr kī shab sañvar gayā koī
apni had se guzar gaya koi
mere dil se utar gaya koi
tere andar kahin main zinda hun
mere andar to mar gaya koi
raat ne di yun haule se dastak
aur bachche sa Dar gaya koi
jism-e-KHasta ko bistare pe rakhe
ret jaisa bikhar gaya koi
ek qayamat hui bapa mujh mein
'ahd se jab mukar gaya koi
rukte-rukte laga main chalne par
chalte-chalte Thahar gaya koi
hijr ki shab bigaD gaya tha main
hijr ki shab sanwar gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.