kisi ke husn ka ejaz hun main
kisī ke husn kā e'jāz huuñ maiñ
ki sar-basta hadīs-e-rāz huuñ maiñ
niyāz-e-'ishq-e-shān-e-nāz huuñ maiñ
jahān-e-rāz-e-jān-e-rāz huuñ maiñ
azal se tā-abad manzil hai merī
yahāñ tak mā.il-e-parvāz huuñ maiñ
ḳhirad kī gutthiyoñ meñ aisā uljhā
ki ab tak vaqf-e-soz-o-sāz huuñ maiñ
jo gūñjā thā kabhī sāz-e-azal par
vahī naġhma vahī āvāz huuñ maiñ
maiñ marne ke liye paidā huā huuñ
isī anjām kā āġhāz huuñ maiñ
tamannā-e-dil-e-‘bedār’ tum ho
kHudā-e-nā-kHudā-e-nāz huuñ maiñ
kisi ke husn ka e'jaz hun main
ki sar-basta hadis-e-raaz hun main
niyaz-e-'ishq-e-shan-e-naz hun main
jahan-e-raaz-e-jaan-e-raaz hun main
azal se ta-abad manzil hai meri
yahan tak mail-e-parwaz hun main
KHirad ki gutthiyon mein aisa uljha
ki ab tak waqf-e-soz-o-saz hun main
jo gunja tha kabhi saz-e-azal par
wahi naghma wahi aawaz hun main
main marne ke liye paida hua hun
isi anjam ka aaghaz hun main
tamanna-e-dil-e-‘bedar’ tum ho
kHuda-e-na-kHuda-e-naz hun main
- Book : Aaina-e-Ehsas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.