hamein malum tha jab inqilab aaega duniya mein
hameñ mā'lūm thā jab inqilāb aa.egā duniyā meñ
bayābāñ kaun dekhegā gulistāñ kaun dekhegā
asīroñ ne taḌap kar bekasī meñ jaan hī de dī
ba-hasrat ab dar-o-divār-e-zindāñ kaun dekhegā
chale to jaa.eñ dīvāne hudūd-e-sahn-e-gulshan se
magar hañgāma-e-fasl-e-bahārāñ kaun dekhegā
hamāre dam se raunaq hai bahāroñ meñ chaman vaalo
hamāre baa'd ye nazm-e-gulistāñ kaun dekhegā
ye duniyā hai sitam-pesha jafā-parvar zamāna hai
kisī mazlūm kī āñkhoñ meñ tūfāñ kaun dekhegā
fazā.eñ ḳhuun meñ Duubī huiiñ haiñ bazm-e-ālam kī
ye jañg-e-imtiyāz-e-kufr-o-īmāñ kaun dekhegā
zamāna vajd meñ naġhma-sarā hai sāz-e-hastī par
mirā TuuTā huā tār-e-rag-e-jāñ kaun dekhegā
uchhaltī haiñ ye nabzeñ tez-tar haiñ ḳhuun kī maujeñ
na jaane nok-e-nashtar se rag-e-jāñ kaun dekhegā
kisī ke naqsh-e-pā par be-ḳhudī meñ kar liyā sajda
jabīñ hai mahram-e-asrār-e-īmāñ kaun dekhegā
maze se log gahrī niiñd meñ jab so rahe hoñge
ba-juz 'bedār' ke sub.h-e-daraḳhshāñ kaun dekhegā
hamein ma'lum tha jab inqilab aaega duniya mein
bayaban kaun dekhega gulistan kaun dekhega
asiron ne taDap kar bekasi mein jaan hi de di
ba-hasrat ab dar-o-diwar-e-zindan kaun dekhega
chale to jaen diwane hudud-e-sahn-e-gulshan se
magar hangama-e-fasl-e-bahaaran kaun dekhega
hamare dam se raunaq hai bahaaron mein chaman walo
hamare ba'd ye nazm-e-gulistan kaun dekhega
ye duniya hai sitam-pesha jafa-parwar zamana hai
kisi mazlum ki aankhon mein tufan kaun dekhega
fazaen KHun mein Dubi huin hain bazm-e-alam ki
ye jang-e-imtiyaz-e-kufr-o-iman kaun dekhega
zamana wajd mein naghma-sara hai saz-e-hasti par
mera TuTa hua tar-e-rag-e-jaan kaun dekhega
uchhalti hain ye nabzen tez-tar hain KHun ki maujen
na jaane nok-e-nashtar se rag-e-jaan kaun dekhega
kisi ke naqsh-e-pa par be-KHudi mein kar liya sajda
jabin hai mahram-e-asrar-e-iman kaun dekhega
maze se log gahri nind mein jab so rahe honge
ba-juz 'bedar' ke subh-e-daraKHshan kaun dekhega
- Book : Aaina-e-Ehsas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.