Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

makin jis mein ho ho phir us makan se KHak hasil hai

Afzal Lakhnavi

makin jis mein ho ho phir us makan se KHak hasil hai

Afzal Lakhnavi

MORE BYAfzal Lakhnavi

    makīñ jis meñ ho ho phir us makāñ se ḳhaak hāsil hai

    terī ulfat se jo ḳhālī hai vo dil bhī koī dil hai

    nahīñ go aaj ārā.ish se mohlat aap ko lekin

    hamārī dāstān-e-ġham kabhī sunñe ke qābil hai

    tere jaur-o-jafā se ham ne jab dekhā yahī dekhā

    koī āfat-rasīda hai sitam-dīda koī dil hai

    nigah se jo vahāñ dekhā zabāñ se kah nahīñ saktā

    agar pūchhe koī mujh se ki kaisā rañg-e-mahfil hai

    'adū dushmanī jis meñ nahīñ vo merā siina hai

    nahīñ hai dost ki jis meñ jagah vo aap dil hai

    sabab se ro'b ke karte haiñ bāteñ sab ishāroñ meñ

    tumhārī bazm goyā āj-kal gūñgoñ mahfil hai

    kahāñ haiñ shoḳhiyāñ un haTā deñ is ghaḌī 'afzal'

    hayā kambaḳht parda shab-e-vaslat jo haa.il hai

    makin jis mein ho ho phir us makan se KHak hasil hai

    teri ulfat se jo KHali hai wo dil bhi koi dil hai

    nahin go aaj aaraish se mohlat aap ko lekin

    hamari dastan-e-gham kabhi sunne ke qabil hai

    tere jaur-o-jafa se hum ne jab dekha yahi dekha

    koi aafat-rasida hai sitam-dida koi dil hai

    nigah se jo wahan dekha zaban se kah nahin sakta

    agar puchhe koi mujh se ki kaisa rang-e-mahfil hai

    'adu ki dushmani jis mein nahin wo mera sina hai

    nahin hai dost ki jis mein jagah wo aap ka dil hai

    sabab se ro'b ke karte hain baaten sab ishaaron mein

    tumhaari bazm goya aaj-kal gungon ki mahfil hai

    kahan hain shoKHiyan un ki haTa den is ghaDi 'afzal'

    haya kambaKHt ka parda shab-e-waslat jo hail hai

    Source :
    • Book : Asli Guldasta-e-Qawwali (Pg. 11)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now