Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tujhi se teri hi hamd-e-bari dahan ye tera zaban teri

Afzal Hussain Asdaqi

tujhi se teri hi hamd-e-bari dahan ye tera zaban teri

Afzal Hussain Asdaqi

MORE BYAfzal Hussain Asdaqi

    tujhī se terī hamd-e-bārī dahan ye terā zabān terī

    terā 'atiyya hai nutq apnā ye jism terā ye jaan terī

    nafakHtu-fīhi kahā hai kis ne va-kuntu-kanzan batāyā kis ne

    ye ruuh tan meñ basāyā kis ne hamāre aaqā hai shaan terī

    jamāl kis thā tūr-e-ūpar pahāḌ surma banā hai kyūñ-kar

    vo nuur kis thā shaan terī vo nuur kis thā shaan terī

    bulāyā kis ne falak ke uupar jahāñ haiñ jalte gumān ke par

    tirī hai qudrat tirī 'ināyat ye aaqā sab kuchh hai maan terī

    vo sajda aadam ko kyuuñ kiyā thā farishta paakī jo nuur se thā

    ye putlā ḳhākī ko rutba kaisā 'ināyateñ haiñ sub.hān terī

    vo pheñkā bhālā to ye bolā ki mā-ramaita ramaita anā

    ahad se ahmad milne jaanā yahī to rabbī hai shaan terī

    tujhī se terī hai chaah mujh ko tujhī se terī panāh mujh ko

    tujhī se milnī hai raah mujh ko ḳhudāyā mere amaan terī

    ye jism ḳhākī ho nuur terā jahāñ se jis dam uThe baserā

    ye bulbul-e-jāñ taḌap-taḌap kar kahe ‘faqīrā’ hai jaan terī

    tujhi se teri hi hamd-e-bari dahan ye tera zaban teri

    tera 'atiyya hai nutq apna ye jism tera ye jaan teri

    nafakHtu-fihi kaha hai kis ne wa-kuntu-kanzan bataya kis ne

    ye ruh tan mein basaya kis ne hamare aaqa hai shan teri

    jamal kis ka tha tur-e-upar pahaD surma bana hai kyun-kar

    wo nur kis ka tha shan teri wo nur kis ka tha shan teri

    bulaya kis ne falak ke upar jahan hain jalte guman ke par

    teri hai qudrat teri 'inayat ye aaqa sab kuchh hai man teri

    wo sajda aadam ko kyun kiya tha farishta paki jo nur se tha

    ye putla KHaki ko rutba kaisa 'inayaten hain subhan teri

    wo phenka bhaala to tu ye bola ki ma-ramaita ramaita ana

    ahad se ahmad ka milne jaana yahi to rabbi hai shan teri

    tujhi se teri hai chah mujh ko tujhi se teri panah mujh ko

    tujhi se milni hai rah mujh ko KHudaya mere aman teri

    ye jism KHaki ho nur tera jahan se jis dam uThe basera

    ye bulbul-e-jaan taDap-taDap kar kahe ‘faqira’ hai jaan teri

    Source :
    • Book : Diwan-e-Afzal (Pg. 58)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now