Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kahan dam-e-zulf bichha nahin wo kaun jo ki phansa nahin

Abdul Raheem Kunjpuri

kahan dam-e-zulf bichha nahin wo kaun jo ki phansa nahin

Abdul Raheem Kunjpuri

MORE BYAbdul Raheem Kunjpuri

    kahāñ dām-e-zulf bichhā nahīñ vo kaun jo ki phañsā nahīñ

    koī shaḳhs us se bachā nahīñ paḌe jis ke sar pe balā nahīñ

    tab hijr hai maraz mujhe jo masīh aa.e to kyā kare

    ki baġhair sharbat-e-vasl ke mire dard-e-dil davā nahīñ

    vo jo jaur karatā hai be-sabab kahūñ kis se koī sunegā kab

    paḌā sābiqa mujhe us se ab jise kuchh ḳhauf-e-ḳhudā nahīñ

    nahīñ mānegā terā kahā 'abas hai sar ko phirā rahā

    ki baġhair 'ishq nāsehā zindagī mazā nahīñ

    hai 'abas shikāyat dil-rubā nahīñ 'rahīm' us zarā ḳhatā

    vo hai kaun aisā hasīñ-dilā ki hai jis meñ jaur-o-jafā nahīñ

    kahan dam-e-zulf bichha nahin wo kaun jo ki phansa nahin

    koi shaKHs us se bacha nahin paDe jis ke sar pe bala nahin

    tab hijr ka hai maraz mujhe jo masih aae to kya kare

    ki baghair sharbat-e-wasl ke mere dard-e-dil ki dawa nahin

    wo jo jaur karata hai be-sabab kahun kis se koi sunega kab

    paDa sabiqa mujhe us se ab jise kuchh KHauf-e-KHuda nahin

    nahin manega tera kaha tu 'abas hai sar ko phira raha

    ki baghair 'ishq ki naseha zindagi ka maza nahin

    hai 'abas shikayat dil-ruba nahin 'rahim' us ki zara KHata

    wo hai kaun aisa hasin-dila ki hai jis mein jaur-o-jafa nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now